Thursday, January 1, 2015

PK - A thought against Blind Faith

Baba Dhokhadev - Hum Sarkar se vinati karte hein ki PK ko sampoorna Bharat mein ban kiya jaae
PK - Kyon Baba Wrong Number lag gaya kyat or kyat tumhari dukes band ho gai?
Darshak - PK mein ek dialogue thaa - "Kal koi apne allah khuda ki raksha karne gaya aur mera dost mar gaya, aaj mere paas sirf uska joota bachaa hai.....mat karo aisee rakshaa us bhagwaan ki jisne tumhein banaya...." 
Sarvochch Nyayalaya - Agar PK aapko itani hi aapattijanak lagti hai to mat jaaiye aur mat dekhiye, doosaro ko rokane kaa aapko adhikaar nahin hai
=================================================
Aap sabhi logon se vinati hai ki PK jaisee movie ka bahishkaar naa karein. Dharmaandhata ke sahare aaj tak hum lootate aaye hein aur wahi dharma guru aaj bhi humein bhadkaane kee koshish mein hein. Kripaya is baat ko jaaniye ki dharm apne aap mein itana mahan hota hai ki kisi nashvar manushya dwara uska apmaan nahin ho saktaa....PK mein Dharm ko chunauti nahin di gai hai usmein Dharmandhata ko evam usey upyog mein laa dhandhaa karne vaalon ko chunauti di gayi hai.....vigat varsh mein aise kitane hi tatakathit dharmaguruon ka pakhand saamne aaya hai.....khud sochiye aur khud apne vivek se nirnay lijiye ki kaun galat hai....
================================================

PK - the movie is a great and must watch movie.  It is not against a specific religion rather is against the overall case of Blind Faith.  The movie take a dip on the topic that was once touched upon by OMG. The only deference between the way to deal is "Atheist ultimately meets God" in OMG and "A naive alien tries to find god to help him".  The movie in no way hurts religious sentiments, but helps ensure that we do not get fleeced by the Self Made Godmen who sit in their upscale and posh Aashrams to teach us religious wrong doings.....There have been several cases against so called self acclaimed Godmen  in recent times

No comments:

Post a Comment